Time Start Now

Zainul Abdin's Initiative Career Awareness Team - 9838658933

Saturday, October 17, 2015

On Sir Syed Birth day

ye mera chaman hai mera chaman, main apne chaman ka bulbul hun
sarshaar-e-nigaah-e-nargis hun, paa-bastaa-e-gesu-e-sumbul hun
(chaman : garden; bulbul : nightingale; sarshaar : overflowing, soaked; nigaah : sight; nargis :flower, narcissus; paa-bastaa : embedded; gesuu : tresses; sumbul : a plant of sweet odor)

har aan yahan sehbaa-e-kuhan ek saaghar-e-nau men dhalti hai

kalion se husn tapaktaa hai, phoolon se javaani ubalti hai
(sehbaa-e-kuhan : old wine; saaghar-e-nau : new goblet)

jo taaq-e-haram men roshan hai, vo shamaa yahaan bhi jalti hai

is dasht ke goshe-goshe se, ek joo-e-hayaat ubalti hai
(taaq-e-haram : vault in the sacred territory of mecca; roshan : glowing; shamaa : flame; dasht : wilderness, desert; goshaa : corner; juu-e-hayaat : stream of life)

islam ke is but-khaane men asnaam bhi hain aur aazaar bhi

tahzib ke is mai-khaane men shamshir bhi hai aur saaghar bhi
(but-khaanaa : temple; asnaam : idols; aazaar : abraham’s father, an idol-worshipper; tahziib : culture; shamshiir : sword; saaghar : wine goblet)

yaan husn ki barq chamakti hai, yaan noor ki baarish hoti hai

har aah yahaan ek naghmaa hai, har ashk yahaan ek moti hai
(barq : lightening; nuur : light)

har shaam hai shaam-e-misr yahaan, har shab hai shab-e-sheeraz yahaan

hai saare jahaan ka soz yahaan aur saare jahaan kaa saaz yahaan
(shaam-e-misr : evenings of egpyt; shab-e-sheeraz : nights of sheeraz, a famous city of iran; soz : pain)

ye dasht-e-junun deevanon kaa, ye bazm-e-vafa parvaanon ki

ye shahr-e-tarab roomaanon kaa, ye khuld-e-bareen armanon ki
(dasht : desert, wilderness; junuun : frenzy; bazm : gathering; vafaa : faithfulness; shahr-e-tarab : city of mirth; khuld-e-bariin : sublime paradise; armaan : hope)

fitrat ne sikhaee hai ham ko, uftaad yahaan parvaaz yahaan

gaaye hain vafaa ke geet yahaan, chheraa hai junun kaa saaz yahaan
(fitrat : nature; uftaad : beginning of life; parvaaz : flight; saaz : song on an instrument)


is farsh se hamne ud ud kar aflaak ke taare tode hain

naheed se ki hai sargoshi, parveen se rishte jore hain
(farsh : base; aflaak : heavens; nahiid : venus; parviin : 
pleiades)

is bazm men teghen khencheen hain, is bazm men saghar tode hain

is bazm men aankh bichaa’ee hai, is bazm men dil tak jore hain
(tegh : swords; saghar : goblet)

is bazm men neze khenche hain, is bazm men khanjar choome hain

is bazm men gir-gir tadpe hain, is bazm men pee kar jhoome hain
(neze : spears; khanjar : dagger; bazm : gathering)

aa aa kar hazaaron baar yahaan khud aag bhi hamne lagaayee hai

phir saare jahaan ne dekhaa hai ye aag hameen ne bujha’ee hai

yaan ham ne kamanden daali hain, yaan hamne shab-khoon maare hain

yaan ham ne qabaayen nochee hain, yaan hamne taaj utaare hain
(kamand : a noose; shab-khoon : night raids; qabaayen : dress)


har aah hai khud taaseer yahaan, har khvaab hai khud taabeer yahaan
tadbeer ke paa-e-sangin per jhuk jaati hai taqdeer yahaan
(aah : sigh; taaeer : effect; taabeer : interpretation; tadbeer : forethought; paa-e-sangiin : firm footing; taqdeer : destiny)

zarraat kaa bosaa lene ko, sau baar jhukaa aakaash yahaan

khud aankh se ham ne dekhi hai, baatil ki shikast-e-faash yahaan
(zarraat : dust; bosaa : kiss; baatil : evil; shikast-e-faash: clear defeat)

is gul-kadah paarinaa men phir aag bharakne vaali haip

hir abr garajne vaale hain, phir barq karakne vaali hai
(gul-kadah : garden; pariinaa : ancient; abr : cloud; barq : lightening)


jo abr yahaan se uththega, vo saare jahaan par barsegaa
har juu-e-ravaan par barsegaa, har koh-e-garaan par barsegaa
(abr : cloud; juu-e-ravaan : flowing streams; koh-e-garaan : big mountains)

har sard-o-saman par barsegaa, har dasht-o-daman par barsegaa

khud apne chaman par barsegaa, ghairon ke chaman par barsegaa
(sard-o-saman : open and shelter; dasht-o-daman : wild and subdued; qasr-e-tarab : citadel of joy)

har shahr-e-tarab par garjegaa, har qasr-e-tarab par kadkegaa

ye abr hameshaa barsaa hai, ye abr hameshaa barsegaa
(shahr-e-tarab : city of joy; qasr-e-tarab : citadel of joy)

No comments:

Post a Comment